Yun Zindagi Ki Raah Mein Takra Gaya Koi

4,666 views · Published 11 November 2009 · 9:25 · Indexed 19 October 2026

Channel: HamEid RafiStar · 2009 · Music

Watch on YouTube

They met Accidentally at the Crossroads of Life & Fell for each other: HamEid RafiStar captures those moments as follows:-

yun zindagi ki raah mein takra gaya koi 
ik roshni andheron mein bikhra gaya koi

Woh haadsa woh pehli mulaakat kya kahoon 
itni ajab thi soorat e haalat kya kahoon 
woh kehar woh ghazab wo jafa mujho yaad hai 
woh uski berukhi ki adaa mujhko yaad hai 
mitt ta nahin hai zehan pe yun chhaa gaya koi 
yoon zindagi ki raah mein takra gaya koi

Pehle mujhe woh dekh ke barham si ho gayee 
phir apne hi haseen khayalon mein kho gayee 
bechargi pe meri usse reham aa gaya 
shaayad mere tardapn.e ka andaaz bhaa gaya 
saanson se bhi qareeb mere aa gaya koi 
yoon zindagi ki raah mein takra gaya koi

yoon usne pyaar se meri baahon ko chhoo liya 
manzil ne jaise shaakh ke raahon ko choo liya 
ik pal mein dil pe kaisii qayamat guzar gayii 
rag rag mein uske husn ki khusboo bikhar gayii 
zulfon ko mere shaanay pe lehraa gaya koi 
yoon zindagi ki raah mein takra gaya koi

Ab is dil-e-tabaah ki haalat na poochiye 
benaam aarzoo-won ki lazzat na poochiye 
ik ajnabi tha rooh ka armaan ban gaya 
ik haadsa tha pyaar ka unwaan ban gaya 
manzil ka raasta mujhe dikhla gaya koi 
yoon zindagi ki raah mein takra gaya koi

More from this channel