Kabhi Kabhi Mere Dil Mein Khayal Aata Hai:

4,801 views · Published 11 February 2010 · 8:00 · Indexed 19 October 2026

Channel: HamEid RafiStar · 2010 · Music

Watch on YouTube

RS: Are We Meant For One Another? Sometimes, I Think We are!

Sochta huun keh kabhi tere dil mein uutar kar deykh loo.n Faraaz,
Kaun basa hai tere dil kii dhardkanun mein jo mujhe basne nahin deyta.

Kabhi kabhi mere dil mein khayaal aata hai

Kay jaise tujhko banaya gaya hai mere liye

Tu abse pehle sitaaron mein bas rahi thi kahin

Tujhe zameen pe bulaya gaya hai mere liye
Tujhe zameen pe bulaya gaya hai mere liye

Kabhi kabhi mere dil mein khayaal aata hai
Kay ye badan ye nigaahein meri amaanat hain

Ye geysuo.n ki ghani chhaon hai meri khatir
Ye honth aur ye baahein meri amaanat hain
Ye honth aur ye baahein meri amaanat hain

Kabhi kabhi mere dil mein khayaal aata hai
Kay jaise bajti hain shehnaaiyaan si raahon mein

Suhaag raat hain ghoonghat utha raha hoon main

Simat rahi hai tu sharma ke apni baahon mein
Simat rahi hai tu sharma ke apni baahon mein

Kabhi kabhi mere dil mein khayaal aata hai
Kay jaise tu mujhe chaahegi umr bhar yoohin
Uthegi meri taraf pyaar ki nazar yoonhi
Main jaanta hoon ki tu ghair hai magar yoonhi
Main jaanta hoon ki tu ghair hai magar yoonhi

Kabhi kabhi mere dil mein khayaal aata hai
Kabhi kabhi mere dil mein khayaal aata hai

More from this channel