#LIVE | Ye Kiski Sada Hai | An awesome narration by Gulzar & Dr Bhupen Hazarika | Kalpana Patowary

3,140 views · Published 22 March 2016 · 5:39 · Indexed 22 October 2026

Channel: MUSIC BOX Kalpana Pattowary · 2016 · Music

Watch on YouTube

SUBSCRIBE @MusicBoxLatest 
An awesome narration by Gulzar 
Ye Kiski Sada Hai ByDr Bhupen Hazarika  https://youtu.be/ldT2NfUYHkk
Vocals: @kalpanapatowaryvocalist & Ongkham Boruah @be_always_drunk 
14th Bodoland Day Kokrajhar 10th Feb 2016


Lyrics-
Kiski sada hai..........

kaanon main gunjti hai.. jane kaun hai
Gehre andhere main koi bhi nahi..
Aankhon se sunta hoon dekhta bhi hoon..
Shayad andhera hai gunj raha hai
Kiski sada hai.. gunj rahi hai..
Kiski sada hai.. kiski sada hai..

Naani ki kahaani main roti maharani..
Birha ki maari koi roti bichaari..
Bhookha hai koi .. pyasa hai shayad...
Jana sa fasana hai..gunj raha hai
kiski sada hai.. gunj rahi hai..
kiski sada hai.. kiski sada hai..

Naani,maharani aur birha ke bain..
Saare ke saare khamosh ho gaye..
Dard ko maut ki nind aa gayi..
Maut ka sannata hai.. gunj raha hai..
Kiski sada hai.. gunj rahi hai...
Kiski sada hai.. kiski sada hai...

Dhoowan - dhoowan kohre wali chadar jalake..
Parvaton pe suraj ne khema lagaya..
vaadiyon main roshni ka lava badhake..
Andhere ki nind se logon ko jagaya..
Aati-itihaas ki chaap suni hai
Aati-itihaas ki chaap suni hai..
Bhor ka hai shor ye ... gunj raha hai..
Kiski sada hai..

Vaadi ki seema pe .. pahaad ke paar se..
Dard aaj gehra hai.. gunj raha hai...
Kiski sada hai ...gunj rahi hai...
Kiski sads hai.. kiski sada hai.....kiski sada hai...

More from this channel