Maa Tera Pyar ((माँ तेरा प्यार )) - A Tribute to All Mothers -Swardham Online

1,867 views · Published 30 April 2017 · 5:40 · Indexed 24 October 2026

Channel: SWARDHAM ONLINE · 2017 · Music

Watch on YouTube

Singers - Aasish, Sudha, Rahul & Pranjal
Music and Lyrics by Manmohan

-------------------------LYRICS-----------------------

MAA  TERA PYAR
Ghuli Kaan Men Sabse Pehle Unki Mithi Baat
Pehla Kadam Uthaya Unke Haat Men Rakhe Haat
Tutla Kar Jab Sikha Bolna Muhn Se Nikla Maa
Khil Khila Kar Utha God Men Matha Usne Chuma
Hire Moti Se Bhi Ujjal Shabd Hain Unke Jaise Kunjal
Chand Ki Chandni Se Bhi Sheetal Jharnon Ke Jal Se Bhi Nirmal
Neel Gagan Se Swachh Wo Neela Sagar Se Apaar
Maa Tera Pyar Maa Tera Pyar 
Din Bachpan Ke Kitne Suhane Khushiyon Se Bhar Poor
Pal Bhar Bhi Na Karti Wo Apani Nazron Se Door
Bhukh Lage Na Pyaas Lage Jab Hote Hum Bimaar
Roti Ke Tukde Men Maa Ki Bhara Anokha Pyar
Maa Ki Mamta Jaise Sandal Soch Hamesha Ho Su Mangal
Chand Ki Chandni Se Bhi Sheetal Jharnon Ke Jal Se Bhi Nirmal
Neel Gagan Se Swachh Wo Neela Sagar Se Apaar
Maa Tera Pyar Maa Tera Pyar

More from this channel